Saturday, August 01, 2009

haan maine bhi 'chori' ki hai...

haan maine bhi chori ki hai
tere paas aane ki hi koshish ki hai...

bahut lamba tha ye faasla
jaise ho raat se din ka bhagna
thi gamon ki kasti sath
jo le aayi hone ko ye mulaqaat
par main bhula nahin paaya ki

haan maine bhi ye kashti chori ki hai
tere paas aane ki koshish ki hai...

duniya se door bhethe the kuch mazboor
chahte hai tujko dil se wo
marz hai unka ye zalim duniya ka dastoor
bus apna pet palte hain, aur keh nahin pate ki..

haan humne bhi chori ki hai
apni garibi mitane ki koshish to ki hai...

dard dil mein dabaye kya payoge janab,
gar musqurana chahte ho to
bolo hai kabool dwahrana darmiyan e khwab? ki..

haan maine bhi chori ki hai..
sach ka saamna karne ki koshish ki hai..

aagaya tha ruksati ka waqt karib
dulhan bhethi thi palqi mein garib
dulha khush tha bahut
par tha is baat se bekhabar jo hai ek sach ajib, ki..

uske father-in-law ne bhi chori ki hai
beti ka dahej jutane ki koshish ki hai...

bol to dein zor se hum
par kya wo sunenge, hai itna unmein dum,
khud ke liye wo khuda ko nahin bakhste,
kya karenge wo chande lamhe apni zindgi se kum?

gar aisa ho to koi nahin kahega ki ki..

haan unhone bhi koi chori ki hai
bus unke jaldi karib aane ki hi koshish ki hai...!

3 comments:

Arun Tangri said...

wah wah wah wah

Anonymous said...

its a good one

Rahul said...

Read till Last!!! Good one..
Who has written this ???